Words of Wisdom:

"You can't be brave if you've only had wonderful things happen to you." - Ldpende

Electricity

  • Date Submitted: 11/18/2010 07:52 AM
  • Flesch-Kincaid Score: 60.5 
  • Words: 4869
  • Essay Grade: no grades
  • Report this Essay
ANJANAY RASTON PER

hina   k college se nikalty hi us kay chehray pe aik khubsoorat si muskrahat aa gai q k us ne
hina ko pooray 2 din baad daikha wo light pink shalwar qameez main buhat khoobsoorat lag rai thi us ki baalon ki layer cutting buhat jach rai thi us k lambay kalay baalon ki shareer littain us k surkh rukhsar ko choo rai thin. lamba sa dopatta hawa se urta ja raha tha . Ahmar to aik pal kay liye sakat hi ho gaya us ko lag raha tha k waqt tham k us k hath main aa gaya ho.
      yak dam hina ne apnay urtay hoy dupattay ko sumbhala to ahmar is khoobsoorat lamhay se bedaar hua or apni new model bike start kr di.
      ye ahmar ka roz ka mamool tha k jab tak hina apnay gher main dakhil na ho jati wo us k peechay aata 20 ki speed pe wo usay taktay jata jesay us ki rakhwali kr raha ho.
ahmar momal ka bara bhai tha jis ki umar 22 saal thi . momal apnay bhai se 5 saal choti thi ahmar apni behan se buhat pyar karta tha or momal ko bhi apnay bhai se buhat lagao tha
      hina aik mazhabi ghranay se talluq rakhti thi or haal hi main sahiwal kay aik middle class town se rawalpindi shift ho gai or girls college main 11 (pre medical) main admission le lia. school late addmission ki waja se us ka kafi zayada syllabus miss ho gaya tha jis ko wo jald az jald complete karna chahti thi wo class main enter hoi to buhat nervous thi saari class ki nazrain new comor pe thin . hina preshani k alam main jaldi jaldi apni seat pe baithnay lagi ka yak dam us ka apna dupatta us k paon k neechay aa gaya or wo lurhakty huy bachi or saari class is sada loh larki ki taraf daikh k hansnay lagi jisay hina ne buhat mehsoos kia. or wo roni si soorat bna k apni seat pe chal di.
    class time khatam honay pr tmam larkian cafe ki taraf chal din. or kisi ne apni new class fellow ko apnay sath chalnay ko nai kaha.
  hina ne preshani k alam main gala khankar kr apni class fellow gul ko mukhatib kia.
hina : Excuse me please aap mujahy previousl lectures k notes de dain

Gul : oh...

Comments

Express your owns thoughts and ideas on this essay by writing a grade and/or critique.

  1. No comments